It is increment time this may help you
GEETA SAAAR.....
Post Appraisal . . . . . . .
This is what Bhagwan Shri Krishna wants to tell you .
Hey Parth (Employee),
Incentive nahi mila, Bura Huya
salary cut rahi hai, Bura Huya
Extra shift hogi, woh bhi bure hogi.
Tum pitchla incentive na milne ka paschatap na karo,
Tum agle incentive ki chinta na karo,
Bus apni salary main santusta raho....
Tumhari pocket se kya gaya, jo ro te ho?
Jo aaya tha sab uper ki income thee.
Tum jab nahi the, tab bhi company chal rahi thee
Tum jab nahi hoge, tab bhi chalegee.
Tum ne aisa kaun sa response diya, jo tumhara tha..
Sab kuch, cut copy paste ka khel tha.
Tum koi experience leker nahi aaye the..
Jo experience mila yahi mila...
Jo support diya company ke liye...
Degree leker aaye the, experience leker chalo.
Jo system aaj tumhara hai...
Woh kal kisi aur ka tha....
Kal kisi aur ka or parson kisi aur ka hoga..
Tum ise apna samajh kar kyo magan ho rahe ho..
Yahi kushi tumhari tension kaa kaaran hai.
"Kyo wayarth chinta karte ho, kisse wayarth darte ho,
Kaun tumhe nikaal sakta hai......"
Policy change company ka rule hai.
Jise tum policy change kahte ho, wahi to trick hai.
"Ek pal main tum Best performer or Hero no.1 ya Super
Star ban jaate ho,
Dusre pal main tum worst performer or target nahin
achieve kar paatey ho."
Appraisal, incentive etc. etc. mann se hata do,
vichaar se mita do, Phir company tumhari hai or tum
company ke.
na yeh increment wageyrah tumhare liye hai
na tum iske kabhi ho, Parantu job secure hai
Phir tum tension kyon lete ho........?
Tum apne aap ko company ko arpit kar do,
Yahi sabse bada golden rule hai,
Jo is golden rule ko jaanta hai,
woh review, incentive,recession,retirement aadi se sada
ke liye muqt ho jaata hai....
HURRY (H)OM(e)..
No comments:
Post a Comment